Elementor #116

Hum middle class logo ki bat hi kuch aur hoti hai.

Humari khushiyon ke paimane Europe tour se kahi jyda ghar me aaya hua Naya furniture hota hai.:)

Doodh me extra malai lagna, sale ya discount me nayi shirt saree joote lena,ye humari muskan hai..

Ya fir ek pe ek free milta jab koi muft ka Saman hai..

Bahut ajeeb hote hai na hum log ,

Bacche ke marks humara status decide kartte h..

Society ko face Karne ka yeh ek bahana hote hai.

First division se pass hona hume bas thik lagta hai.

Jo agar bacche ki budhhi mehnat se 99 ya 100 aa jaye to poocho mat..

Pure mohalle ko Jashn ka nyota Batne lagta hai..

Aap soch rahenge honge ki aaj middle class pe ye kavita kyon..

Aisa Yun ki aaj mere ghar me bhi Naya table aaya hai.

Mujhe nayi kavita likhne ka mauka muddato bad aaya hai..

Agli kavita ke liye humare ghar kisi nayi chiz aane ka intzar karte hai.

Tab tak aap sab muskarana nahi chodiyega..

Kyonki hasne pe koi tax nahi lagta hai..

Ye btana jaruri tha kyonkii middle class ka adha paisa Tax fund me jo lagta hai.:)

Aisa nahi hai ki mujhe middle class hone se koi problem hai..

Mai to bas upar kahi gayi baton se bas ittfak rakhti hu..

Mera kahna aur Inka sach me aisa apke ghar me bhi hona bs  ye Matra ek sayong hai 🙂

Aur bhi barikyan thi abhi batane ko ki

Awaj de di hai mummi ne ab mujhko

Mat kholo ghar ka Sara dhindora

Najar lagegi aur thu thu hoga bahut Sara.

Kya nazar wale wakiye se kuch yaad aaya.

Ji han Mangalwar shaniwar ko Maine to bacche ka nazar utara.

Jaiye aap bhi kaha meri bato me gum hai.

Dekhiye na kahi bodywash pe loofah free to nahi hai 😅

Rachiyta 

Rakhee Sharma

Abhivyakti….

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top